Ram Ram Sabko Kya baat hui doston safar ki shuruaat se pehle hi janzeer khainch kar jaane waale musaafiron mein aap bhi shumaar ho gaye, hairaani to bilkul nahi hai is roop ko dekh kar, kyunki zamaanein mein rehkar zamaane ka dastoor to aap hi nibhayenge na, koshish to yeh hai ki saari duniya ko apni mitti ke pyaar mein sarabor kar dein, sabko bulaayein, par dikhaoge kya? yahi ki humaare dil mein apni maan boli, apni sarzamein ke liye kitne hi mahino tak koi khyaal bhi nahi aata, aur is gunaah ko koi ek aadha nahi sab mil kar anjaam de rahe hain, main bhi shaamil hoon, Sunil, koshish achhi hai, facebook par bhi ek group bana hai, apni baat zyaada logon tak jaayegi, sabse pehle badhai aur meri shubhkaamnayein, par iske baad kya hoga, kyunki agar ek sunil ek minakshi ek parveen ya ek saurabh ne hi likhna hai aur baatein karni hai to baaki fauj khadi karne ka kyaa tuk, Samajh nahi aata yaar, galat kise kahun, kyun hum khwaab ki taabeer se pehle hi himmat si chhod kar door hone lage? bhai sabhi se haath jorh kar.... nahi..... koi haath jorh kar nahi.... seedhi aur saaf lafzon mein baat hai, agar mitti ko maan maante ho to bete hone ka farz kam se kam apni baaton se hi nibha do kuchh galat laga ho to koi maafinama nahi likkhunga.... apni zimmedaariyaan samjho bus sab gunahgaaron mein se ek gagan
Ram Ram Sabko
ReplyDeleteKya baat hui doston
safar ki shuruaat se pehle hi janzeer khainch kar jaane waale musaafiron mein aap bhi shumaar ho gaye, hairaani to bilkul nahi hai is roop ko dekh kar, kyunki zamaanein mein rehkar zamaane ka dastoor to aap hi nibhayenge na, koshish to yeh hai ki saari duniya ko apni mitti ke pyaar mein sarabor kar dein, sabko bulaayein, par dikhaoge kya? yahi ki humaare dil mein apni maan boli, apni sarzamein ke liye kitne hi mahino tak koi khyaal bhi nahi aata, aur is gunaah ko koi ek aadha nahi sab mil kar anjaam de rahe hain, main bhi shaamil hoon,
Sunil, koshish achhi hai, facebook par bhi ek group bana hai, apni baat zyaada logon tak jaayegi, sabse pehle badhai aur meri shubhkaamnayein, par iske baad kya hoga, kyunki agar ek sunil ek minakshi ek parveen ya ek saurabh ne hi likhna hai aur baatein karni hai to baaki fauj khadi karne ka kyaa tuk, Samajh nahi aata yaar, galat kise kahun, kyun hum khwaab ki taabeer se pehle hi himmat si chhod kar door hone lage?
bhai sabhi se haath jorh kar.... nahi..... koi haath jorh kar nahi.... seedhi aur saaf lafzon mein baat hai, agar mitti ko maan maante ho to bete hone ka farz kam se kam apni baaton se hi nibha do
kuchh galat laga ho to koi maafinama nahi likkhunga.... apni zimmedaariyaan samjho
bus
sab gunahgaaron mein se ek
gagan